Tuesday, July 13, 2010

Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbt Ki कसम..


Song :Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbt Ki Kasam.. Mere Mehboob (1963)
Singers : Mohammad Rafi
Lyricist : Shakeel Badayunशकील बदायुनी, شکیل بدایونی
Music Director: Naushad Ali,
Director: Rawail H S
Producer: Rahul Theatre
Genre: Music \ Romance
LYRICS :-
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbt Ki Kasam(repeat)
Phir Mujhe Nargisi Ankhon Ka Sahara Dede
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara Dede
Mere Mehboob Tujhe

Ae Mere Khwab Ki Tasbir Meri Jaan-e-ghazal
Zindagi Meri Tujhe Yaad Kiye Jaati Hai
Raat Din Mujhko Satata Hai Tasavur Tera
Dil Ki Dhadkan Tujhe Awaaz Diye Jaati Hai
Aa Mujhe Apni Sadaon Ka Sahara Dede
Mera Khoya Hua Rangeen Nazzara Dede
Mere Mehboob Tujhe

Bhool Sakti Nahin Ankhen Woh Suhana Manzar
Jab Tera Husn Mere Ishq Se Takraya Tha
Aur Phir Raha Mein Bikhre The Hazaron Naghme
Meri Woh Naghme Teri Awaaz Ko De Aaya Tha
Shazedil Ko Unhi Geeton Ka Sahara Dede
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara Dede
Mere Mehboob Tujhe

Yaad Hai Mujhko Meri Umr Ki Pehli Woh Gadi
Teri Ankhon Se Koi Jaam Piya Tha Maine
Mere Rug Rug Mein Koi Barqse Lehrai Thi
Jab Tere Marmari Haathon Ko Chua Tha Maine
Aa Mujhe Phir Unhi Haathon Ka Sahara Dede
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara Dede
Mere Mehboob Tujhe

Maine Ik Baar Teri Ek Jhalak Dekhi Hai
Meri Hasrat Hai Ke Mein Phir Tera Deedar Karoon
Tere Saaye Ko Samajh Kar Mein Haseen Taj Mahal
Chandni Raat Me Nazaronse Tujhe Pyar Karoon
Apni Mehki Hui Zulfon Ka Sahara Dede
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara Dede
Mere Mehboob Tujhe

Dhoond Tha Hoon Tujhe Har Raah Mei Har Mehfil Mein
Thak Gaye Hai Meri Majboor Tamanna Ki Kadam
Aaj Ka Din Meri Umeed Ki Hai Aakhri Din
Kal Na Jaane Mei Kahan Aur Kahan Tu Hai Sanam
Do Ghadi Apni Nigahon Ka Sahara Dede
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara Dede
Mere Mehboob Tujhe

Saamne Aa Ke Zara Parda Utha De Rukh Se
Ik Yahi Mera Ilaaj-e-ghum-e-tanhai Hai
Teri Furqat Ne Pareshaan Kiya Hai Mujhko
Ab To Milja Ke Meri Jaan Pe Ban Aayi Hai
Dil Ko Bhooli Hui Yaadon Ka Sahara Dede
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara Dede
Mere Mehboob Tujhe

Meri Mohabbat Ki Kasam
Phir Mujhe Nargisi Ankhon Ka Sahara Dede
Mera Khoya Hua Rangeen Nazara Dede
Mere Mehboob Tujhe Meri Mohabbat Ki Kasam
Mere Mehboob Tujhe...

Shakeel Badayuni (Hindi: शकील बदायुनी, Urdu: شکیل بدایونی) (August 3, 1916 -- April 20, 1970) was an accomplished Urdu poet, lyricist and songwriter.
Shakeel Badayuni was born in Badayun, Uttar Pradesh. His father, Mohammed Jamaal Ahmed Sokhta Qadiri wanted him to have a good career, thus he arranged Arabic, Urdu, Persian, and Hindi tuition for Shakeel at home. His inclination towards poetry was not hereditary like other shayars. One of his distant relatives, Zia-ul-Qadiri Badayuni was a religious shayar. Shakeel was influenced by him and the contemporary environment of Badayun led him to Sher-o-Shayari.
Personal life
Shakeel Badayuni succumbed to diabetes complications at the age of fifty-three on April 20, 1970, leaving behind his wife, a son and a daughter. His friends, Naushad, Ahmed Zakaria, and Rangoonwala formed a trust called Yaad-e-Shakeel after his death and this trust is now the source of some income to his bereaved family.
Awards
1961 Filmfare Best Lyricist Award for the song Chaudvin ka chand ho in the film Chaudhvin Ka Chand
1962 Filmfare Best Lyricist Award for the song husnwale tera jawab nahin in the film Gharana
1963 Filmfare Best Lyricist Award for the song kahin deep jale kahin dil in the film Bees Saal Baad