Tuesday, January 26, 2010

Maine chaand aur sitaaron ki tamaana ki thi

mastkalandr's Channel Icon
January 18, 2010
Song :Maine chaand aur sitaaron ki tamaana ki .. Movie :Chandrakaanta (1956) Singer :Mohammad Rafi, Lyricist ; Sahir Ludhianvi, Music Director : N Datta Cast ; Bharat Bhushan,Bina Rai,Bipin Gup...
Song :Maine chaand aur sitaaron ki tamaana ki ..
Movie :Chandrakaanta (1956)
Singer :Mohammad Rafi,
Lyricist ; Sahir Ludhianvi,
Music Director : N Datta
Cast ; Bharat Bhushan,Bina Rai,Bipin Gupta,Hiralal,B.M.Vyas,Joney Walkar.
Producer/Director : G.P.Shippy
Genere ; Costume ,fantasy drama

LYRICS ;-

maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

mujhko raaton ki siyaahi ke siwaa kuchh na milaa

main wo naghmaa hoon jise pyaar ki mahfil na mili

wo musaafir hoon jise koyi bhi manzil na mili

zakhm paayen hain bahaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

kisi gesu kisi aanchal kaa sahaaraa bhi nahin

raaste mein koyi dhundhlaa saa sitaaraa bhi nahin

meri nazron ne nazaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
mujhko raaton ki siyaahi ke siwaa kuchh na milaa
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

meri raahon se judaa ho gayin raahen unki

aaj badli nazar aati hain nigaahen unki
aaj badli nazar aati hain nigaahen unki
jinse is dil ne sahaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi

pyaar maangaa to sisakte huye armaan mile

chain chaahaa to umadte huye toofaan mile

doobte dil ne kinaaron ki tamannaa ki thi
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
mujhko raaton ki siyaahi ke siwaa kuchh na milaa
maine chaand aur sitaaron ki tamannaa ki thi
Category: People & Blogs
Tags:
1956 Bharat Bhooshan Chandrakaanta N Datta mohammad Rafi Sahir Ludhianvi mastkalandr bina rai