Sunday, February 22, 2009

AAJ MOUSAM BADA BEIMAN HAI AAJ MOUSAM..



Movie : Loafer
Singers : Mohammad Rafi
Song : Aaj Mausam Bada Beimaan Hai
Lyricist : Anand Bakshi
Actors : Dharmendra, Mumtaz, Premnath
Music Director : Laxmikant Kudalkar, Pyarelal

Hmmmm……
Ho aaj mausam bada beimaan hai bada
Beimaan hai, aaj mausam
Ho aaj mausam bada beimaan hai bada
Beimaan hai, aaj mausam


Aane wala koi toofan hai koi
Toofaan hai, aaj mausam
Ho aaj mausam bada beimaan hai bada
Beimaan hai, aaj mausam

Kya hua hai, hua kuchh nahi hai
Kya hua hai, hua kuchh nahi hai
Baat kya hai pata kuchh nahi hai
Mujhse koi khata ho gayi to
Isme meri khata kuchh nahi hai
Khoobsurat hai tu rut jawan hai
Aaj mausam
Ho, aaj mausam bada beimaan hai bada
Beimaan hai, aaj mausam

Kaali kaali ghata dar rahi hai
Kaali kaali ghata dar rahi hai
Thandi aahein hawa bhar rahi hai
Sabko kya kya ghumaan ho rahe hain
Har kali hum pe shaq kar rahi hai
Phoolon ka dil bhi kuchh badgumaan hai
Aaj mausam
Ho, aaj mausam bada beimaan hai bada
Beimaan hai, aaj mausam

Aye mere yaar aye husn waale
Aye mere yaar aye husn waale
Dil kiya maine tere hawaale
Teri marzi pe ab baat thehri
Jeene de chaahe tu maar daale
Tere haathon mein ab meri jaan hai
Aaj mausam
Ho, aaj mausam bada beimaan hai bada
Beimaan hai, aaj mausam

Aane wala koi toofan hai koi
Toofan hai, aaj mausam
Ho, aaj mausam bada beimaan hai bada
Beimaan hai, aaj mausam
Hm hmm..
Aaj mausam
Ho ho…

This beautiful song is sung by Mohammad Rafi and the music composed by famous musical pair Laxmikant Pyarelal. Anand Bakshi added the beauty of nature in this song.

No comments:

Post a Comment