Friday, March 27, 2009

Jeet Hi Lenge Baazi Hum Tum khel adhura chhuute na pyar ka bandan janam ka bandhan tuute na....



Director : Ramesh Saigal
Music Director : KHAIYYAAM
Leading Cast : TARLA, Dharmendra, Abhi Bhattacharya, M RAJAN, Vijayalakshmi, JEEVANKALA, DHUMAL
Film:Shola Aur Shabnam Year : 1961
Hindi Lyrics:

Rafi-Jeet hi lenge baazi hum tum,
khel adhura chhute na Pyaar ka bandhan,
janam ka bandhan,janam ka bandhan toote na
Milta hai jahan dharti se gagan, aao wahi hum jaaye
Tu mere liye,main tere liye - 2 Is duniya ko thhukraayein - 2
Door basaa le dil ki jannat - 2 Jis ko zamaana loote na
Pyaar ka bandhan, janam ka bandhan, janam ka bandhan toote na
Lata- aa aa...pyaar ka bandhan toote na
Rafi- Milne ki khushi na milne ka ghum,
Lata- khatm ye jhagde ho jaaye
Tu tu na rahe, main main na rahu - 2
Ik duje main kho jaaye - 2
Main bhi na chhodu pal bhar daaman - 2
Tu bhi pal bhar ruthe na Pyaar ka bandhan, janam ka bandhan,
janam ka bandhan toote ..

No comments:

Post a Comment